faqa-masti mein bhi jine ki ada le jaenge
faqa-masti mein bhi jine ki ada le jaenge
Badr-e-Alam Khan Azmi
MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi
fāqa-mastī meñ bhī jiine kī adā le jā.eñge
ye luTere mere ghar se aur kyā le jā.eñge
dandanāte phir rahe haiñ zāfrānī bheḌiye
ghar ke andar ghus ke bachchoñ ko uThā le jā.eñge
aadmī kā jism hogā aur sar iblīs kā
pāThshālāoñ meñ kaale saañp paale jā.eñge
un kā maqsad hai ḳhudā se har vasīla kaaT deñ
haath se qur.ān hoñToñ se duā le jā.eñge
zarra-zarra laal kar deñge hamāre ḳhuun se
aur hamīñ se ye sitamgar ḳhūñ-bahā le jā.eñge
vo miTā deñge hamārī azmatoñ kā har nishāñ
chāñd-tāroñ se hamārā naqsh-e-pā le jā.eñge
tishnagī hogī jahāñ be-sāḳhta nauha-kunāñ
us jagah ham dāstān-e-karbalā le jā.eñge
ḳhūñ-chakāñ tārīḳh dohrā.egī apne aap ko
mai-kade se shaiḳh jī phir se nikāle jā.eñge
kab talak yūñhī duāoñ par rahegā inhisār
kab talak sar yūñhī nezoñ par uchhāle jā.eñge
pārsā ham-rāh le jā.eñge pindār-e-amal
ham to apne saath un kī ḳhāk-e-pā le jā.eñge
lauT kar jaane na pā.eñge ye zālim ḳhālī haath
kuchh nahīñ to saath apne bad-duā le jā.eñge
faqa-masti mein bhi jine ki ada le jaenge
ye luTere mere ghar se aur kya le jaenge
dandanate phir rahe hain zafrani bheDiye
ghar ke andar ghus ke bachchon ko uTha le jaenge
aadmi ka jism hoga aur sar iblis ka
paThshaalaon mein kale sanp pale jaenge
un ka maqsad hai KHuda se har wasila kaT den
hath se quran honTon se dua le jaenge
zarra-zarra lal kar denge hamare KHun se
aur hamin se ye sitamgar KHun-baha le jaenge
wo miTa denge hamari azmaton ka har nishan
chand-taron se hamara naqsh-e-pa le jaenge
tishnagi hogi jahan be-saKHta nauha-kunan
us jagah hum dastan-e-karbala le jaenge
KHun-chakan tariKH dohraegi apne aap ko
mai-kade se shaiKH ji phir se nikale jaenge
kab talak yunhi duaon par rahega inhisar
kab talak sar yunhi nezon par uchhaale jaenge
parsa ham-rah le jaenge pindar-e-amal
hum to apne sath un ki KHak-e-pa le jaenge
lauT kar jaane na paenge ye zalim KHali hath
kuchh nahin to sath apne bad-dua le jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.