fasla beach ka miTa kaise
fāsla beach kā miTā kaise
yaad us ne mujhe kiyā kaise
apnī palkoñ meñ qaid rakkhā thā
raaj dil kā mire khulā kaise
jism ke pairahan ke paar pahuñch
us ne ehsās ko chhuā kaise
janm de kar maiñ ghūñT duuñ bolo
apnī ummīd kā galā kaise
maut jis roz mere dil ko milī
bhuul jā.ūñ vo hādisa kaise
jo tere naam ruuh bhī kar dī
ab merā mujh meñ kuchh bachā kaise
fasla beach ka miTa kaise
yaad us ne mujhe kiya kaise
apni palkon mein qaid rakkha tha
raj dil ka mere khula kaise
jism ke pairahan ke par pahunch
us ne ehsas ko chhua kaise
janm de kar main ghunT dun bolo
apni ummid ka gala kaise
maut jis roz mere dil ko mili
bhul jaun wo hadisa kaise
jo tere nam ruh bhi kar di
ab mera mujh mein kuchh bacha kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.