fasla yun to meri jaan nahin hai koi
fāsla yuuñ to mirī jaan nahīñ hai koī
par mulāqāt kā imkān nahīñ hai koī
'ishq karnā to hai insān kā buniyādī haq
aap kā mujh pe to ehsān nahīñ hai koī
jab talak ḳhud pe na TuuTā ho musībat kā pahāḌ
aisā lagtā hai pareshān nahīñ hai koī
is qadar gard fazā meñ hai ki dam ghuTtā hai
saañs lenā yahāñ āsān nahīñ hai koī
jo bhī miltā hai use dil se lagā lete ho
tum ko dushman kī bhī pahchān nahīñ hai koī
fasla yun to meri jaan nahin hai koi
par mulaqat ka imkan nahin hai koi
'ishq karna to hai insan ka buniyaadi haq
aap ka mujh pe to ehsan nahin hai koi
jab talak KHud pe na TuTa ho musibat ka pahaD
aisa lagta hai pareshan nahin hai koi
is qadar gard faza mein hai ki dam ghuTta hai
sans lena yahan aasan nahin hai koi
jo bhi milta hai use dil se laga lete ho
tum ko dushman ki bhi pahchan nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.