fasle na baDh jaen fasle ghaTane se
fāsle na baḌh jaa.eñ fāsle ghaTāne se
aao soch leñ pahle rābte baḌhāne se
'arsh kaañp jaatā thā ek dil dukhāne se
vo zamāna achchhā thā aaj ke zamāne se
ḳhvāhisheñ nahīñ martīñ ḳhvāhisheñ dabāne se
amn ho nahīñ saktā goliyāñ chalāne se
dekh-bhāl kar chalnā lāzmī sahī lekin
tajrabe nahīñ hote Thokareñ na khāne se
ek zulm kartā hai ek zulm sahtā hai
aap kā ta'alluq hai kaun se gharāne se
kitne zaḳhm chhilte haiñ kitne phuul khilte haiñ
gaah tere aane se gaah tere jaane se
kār-zār-e-hastī meñ apnā daḳhl itnā hai
hans diye hañsāne se ro diye rulāne se
chhoTe chhoTe shahroñ par kyoñ na iktifā kar leñ
khetiyāñ ujaḌtī haiñ bastiyāñ basāne se
zaḳhm bhī lagāte ho phuul bhī khilāte ho
kitne kaam lete ho ek muskurāne se
aur bhī sañvartā hai aur bhī nikhartā hai
jalva-e-ruḳh-e-jānāñ dekhne dikhāne se
jab talak na TuuTe the ḳhair-o-shar ke paimāne
vo zamāna achchhā thā aaj ke zamāne se
har taraf charāġhāñ ho tab kahīñ ujālā ho
aur ham gurezāñ haiñ ik diyā jalāne se
chāñd āsmāñ kā ho yā zamīn kā 'nusrat'
kaun baaz aatā hai uñgliyāñ uThāne se
fasle na baDh jaen fasle ghaTane se
aao soch len pahle rabte baDhane se
'arsh kanp jata tha ek dil dukhane se
wo zamana achchha tha aaj ke zamane se
KHwahishen nahin martin KHwahishen dabane se
amn ho nahin sakta goliyan chalane se
dekh-bhaal kar chalna lazmi sahi lekin
tajrabe nahin hote Thokaren na khane se
ek zulm karta hai ek zulm sahta hai
aap ka ta'alluq hai kaun se gharane se
kitne zaKHm chhilte hain kitne phul khilte hain
gah tere aane se gah tere jaane se
kar-zar-e-hasti mein apna daKHl itna hai
hans diye hansane se ro diye rulane se
chhoTe chhoTe shahron par kyon na iktifa kar len
khetiyan ujaDti hain bastiyan basane se
zaKHm bhi lagate ho phul bhi khilate ho
kitne kaam lete ho ek muskurane se
aur bhi sanwarta hai aur bhi nikharta hai
jalwa-e-ruKH-e-jaanan dekhne dikhane se
jab talak na TuTe the KHair-o-shar ke paimane
wo zamana achchha tha aaj ke zamane se
har taraf charaghan ho tab kahin ujala ho
aur hum gurezan hain ek diya jalane se
chand aasman ka ho ya zamin ka 'nusrat'
kaun baz aata hai ungliyan uThane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.