faslon ki KHandaqen bharna zaruri ho gaya
fāsloñ kī ḳhandaqeñ bharnā zarūrī ho gayā
zindagī ke vāste marnā zarūrī ho gayā
thī adhūrī dāstān-e-zindagī tere baġhair
zikr terā is liye karnā zarūrī ho gayā
ban ga.ī hai aaj har shai be-yaqīnī kī dalīl
apne saa.e se bhī ab Darnā zarūrī ho gayā
jang roTī kī nahīñ bachchoñ ke mustaqbil kī hai
ma.arka ab ye bhī sar karnā zarūrī ho gayā
jo kisī din ḳhvāb sī āñkhoñ meñ utrī thī 'asar'
rang us tasvīr meñ bharnā zarūrī ho gayā
faslon ki KHandaqen bharna zaruri ho gaya
zindagi ke waste marna zaruri ho gaya
thi adhuri dastan-e-zindagi tere baghair
zikr tera is liye karna zaruri ho gaya
ban gai hai aaj har shai be-yaqini ki dalil
apne sae se bhi ab Darna zaruri ho gaya
jang roTi ki nahin bachchon ke mustaqbil ki hai
marka ab ye bhi sar karna zaruri ho gaya
jo kisi din KHwab si aankhon mein utri thi 'asar'
rang us taswir mein bharna zaruri ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.