fatiha bhi tere marqad pe paDhun ya na paDhun
fātiha bhī tire marqad pe paḌhūñ yā na paḌhūñ
tujh ko murda kahūñ yā zinda-e-jāved kahūñ
muttafiq 'aql se paatā huuñ maiñ ahkām-e-junūñ
tū mirī jaan mirī ruuh mirā sabr-o-sukūñ
kis tarah maiñ tujhe murda kahūñ murda samjhūñ
tujh se zinda huuñ tire saath hī maiñ zinda huuñ
na huā tujh se judā koī tasavvur apnā
tujhe ai dost kahūñ kyā maiñ tahayyur apnā
fatiha bhi tere marqad pe paDhun ya na paDhun
tujh ko murda kahun ya zinda-e-jawed kahun
muttafiq 'aql se pata hun main ahkaam-e-junun
tu meri jaan meri ruh mera sabr-o-sukun
kis tarah main tujhe murda kahun murda samjhun
tujh se zinda hun tere sath hi main zinda hun
na hua tujh se juda koi tasawwur apna
tujhe ai dost kahun kya main tahayyur apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.