faisla koi bhi ho ye bhi saadat hai mujhe
faisla koī bhī ho ye bhī sa'ādat hai mujhe
maiñ ne jarge meñ kahā tujh se mohabbat hai mujhe
sach to ye hai ki tire baa'd maiñ zinda hī nahīñ
saañs letā huuñ ki is kaam kī 'ādat hai mujhe
hathkaḌī bāñdh ke likhne pe bhī pābandī nahīñ
beḌiyāñ Daal ke chalne kī ijāzat hai mujhe
dekh saktā huuñ use baat bhī kar saktā huuñ
ye nayā hijr qayāmat kī aziyyat hai mujhe
ḳhud-kushī bhuuk meñ karne kī zarūrat kyā hai
jab dhamākoñ meñ shahādat kī suhūlat hai mujhe
faisla koi bhi ho ye bhi sa'adat hai mujhe
main ne jarge mein kaha tujh se mohabbat hai mujhe
sach to ye hai ki tere ba'd main zinda hi nahin
sans leta hun ki is kaam ki 'adat hai mujhe
hathkaDi bandh ke likhne pe bhi pabandi nahin
beDiyan Dal ke chalne ki ijazat hai mujhe
dekh sakta hun use baat bhi kar sakta hun
ye naya hijr qayamat ki aziyyat hai mujhe
KHud-kushi bhuk mein karne ki zarurat kya hai
jab dhamakon mein shahadat ki suhulat hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.