faisla us par ya is par hona chahiye
faisla us paar yā is paar honā chāhiye
kyoñ junūn-e-ishq ko mañjdhār honā chāhiye
phuul saare hī chaman ke daad ke haiñ mustahiq
ishq āḳhir kyoñ faqat ik baar honā chāhiye
ishq kā iz.hār itnā aur amal kuchh bhī nahīñ
aap kā to naam hī sarkār honā chāhiye
maiñ nahīñ to kyā hazāroñ aur taare haiñ yahāñ
kyoñ kisī bhī raat ko bezār honā chāhiye
umr bhar āñkhoñ ne tere hijr meñ roza rakhā
zindagī kī shaam hai iftār honā chāhiye
tujh ko māñgā jab duā meñ hañs ke ye bole ḳhudā
zindagī meñ kuchh na kuchh dushvār honā chāhiye
'āshnā' kuchh kaam karte ho to ho kis kaam ke
tum to shā.ir ho tumheñ be-kār honā chāhiye
faisla us par ya is par hona chahiye
kyon junun-e-ishq ko manjdhaar hona chahiye
phul sare hi chaman ke dad ke hain mustahiq
ishq aaKHir kyon faqat ek bar hona chahiye
ishq ka izhaar itna aur amal kuchh bhi nahin
aap ka to nam hi sarkar hona chahiye
main nahin to kya hazaron aur tare hain yahan
kyon kisi bhi raat ko bezar hona chahiye
umr bhar aankhon ne tere hijr mein roza rakha
zindagi ki sham hai iftar hona chahiye
tujh ko manga jab dua mein hans ke ye bole KHuda
zindagi mein kuchh na kuchh dushwar hona chahiye
'ashna' kuchh kaam karte ho to ho kis kaam ke
tum to shair ho tumhein be-kar hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.