faisle ki us ghaDi ka iltawa achchha laga
faisle kī us ghaḌī kā iltavā achchhā lagā
ek rishta TūTne se bach gayā achchhā lagā
jān-e-man jān-e-vafā ḳhat meñ likhā achchhā lagā
duur se us ne mujhe apnā kahā achchhā lagā
maiñ ne ġham kī dhun bhī chheḌī aur ḳhushī kā raag bhī
tum batāo giit merā kaun sā achchhā lagā
mujh meñ kyā jauhar mire TuuTe hue ā.īne ko
aaj us ne chāñd kā TukḌā kahā achchhā lagā
ek din aa.ī to phir vāpas na tanhā.ī ga.ī
mere ujḌe ghar meñ us ko jaane kyā achchhā lagā
dil na chhoḌegā zideñ ye to vo bālak hai jise
ik khilaunā mil gayā to dūsrā achchhā lagā
pesh kar diiñ maiñ ne fikr-o-fan kī tasvīreñ hazār
ḳhud pasandoñ ko magar ik ā.īna achchhā lagā
chāñdnī yādoñ kī thī 'parvīn' aañsū kyoñ bahā.e
kyā kafan pe tujh ko motī Tañknā achchhā lagā
faisle ki us ghaDi ka iltawa achchha laga
ek rishta TuTne se bach gaya achchha laga
jaan-e-man jaan-e-wafa KHat mein likha achchha laga
dur se us ne mujhe apna kaha achchha laga
main ne gham ki dhun bhi chheDi aur KHushi ka rag bhi
tum batao git mera kaun sa achchha laga
mujh mein kya jauhar mere TuTe hue aaine ko
aaj us ne chand ka TukDa kaha achchha laga
ek din aai to phir wapas na tanhai gai
mere ujDe ghar mein us ko jaane kya achchha laga
dil na chhoDega ziden ye to wo baalak hai jise
ek khilauna mil gaya to dusra achchha laga
pesh kar din main ne fikr-o-fan ki taswiren hazar
KHud pasandon ko magar ek aaina achchha laga
chandni yaadon ki thi 'parwin' aansu kyon bahae
kya kafan pe tujh ko moti Tankna achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.