faisle wo na jaane kaise the
faisle vo na jaane kaise the
raat kī raat ghar se nikle the
yaad aate haiñ ab bhī rah rah kar
shahr meñ kuchh to aise chehre the
kyā zamāna thā vo ki ham donoñ
ek-dūje kā dukh samajhte the
kis kaḌī dhuup ke safar meñ haiñ
naam peḌoñ pe jin ke likkhe the
jaane kis gul-badan kī yaad aa.ī
fasl-e-gul meñ udaas baiThe the
vaqt sā chāragar bhī haar gayā
hijratoñ ke to zaḳhm aise the
pahlī bārish hī le ga.ī 'fārūq'
rañg saare ke saare kachche the
faisle wo na jaane kaise the
raat ki raat ghar se nikle the
yaad aate hain ab bhi rah rah kar
shahr mein kuchh to aise chehre the
kya zamana tha wo ki hum donon
ek-duje ka dukh samajhte the
kis kaDi dhup ke safar mein hain
nam peDon pe jin ke likkhe the
jaane kis gul-badan ki yaad aai
fasl-e-gul mein udas baiThe the
waqt sa chaaragar bhi haar gaya
hijraton ke to zaKHm aise the
pahli barish hi le gai 'faruq'
rang sare ke sare kachche the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.