Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faiz aur faiz ka gham bhulne wala hai kahin

Habib Jalib

faiz aur faiz ka gham bhulne wala hai kahin

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    Interesting Fact

    In the memory of Faiz Ahmad Faiz

    'faiz' aur 'faiz' ġham bhūlne vaalā hai kahīñ

    maut ye terā sitam bhūlne vaalā hai kahīñ

    ham se jis vaqt ne vo shāh-e-suḳhan chhīn liyā

    ham ko vo vaqt-e-alam bhūlne vaalā hai kahīñ

    tire ashk aur bhī chamkā.eñgī yādeñ us

    ham ko vo dīda-e-nam bhūlne vaalā hai kahīñ

    kabhī zindāñ meñ kabhī duur vatan se ai dost

    jo kiyā us ne raqam bhūlne vaalā hai kahīñ

    āḳhirī baar use dekh na paa.e 'jālib'

    ye muqaddar sitam bhūlne vaalā hai kahīñ

    'faiz' aur 'faiz' ka gham bhulne wala hai kahin

    maut ye tera sitam bhulne wala hai kahin

    hum se jis waqt ne wo shah-e-suKHan chhin liya

    hum ko wo waqt-e-alam bhulne wala hai kahin

    tere ashk aur bhi chamkaengi yaaden us ki

    hum ko wo dida-e-nam bhulne wala hai kahin

    kabhi zindan mein kabhi dur watan se ai dost

    jo kiya us ne raqam bhulne wala hai kahin

    aaKHiri bar use dekh na pae 'jalib'

    ye muqaddar ka sitam bhulne wala hai kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now