faiz-e-junun se mahram-e-asrar ho gae
faiz-e-junūñ se mahram-e-asrār ho ga.e
itne fareb khaa.e ki hushyār ho ga.e
jab āshnā-e-lazzat-e-āzār ho ga.e
har ġham ke naqd-e-jāñ se ḳharīdār ho ga.e
kuchh kam na thā surūr-e-ġham-e-zindagī hameñ
kam-zarf the vo log jo mai-ḳhvār ho ga.e
kyā ma.arke zamīn ke sar ho chuke tamām
kyoñ āsmāñ se barsar-e-paikār ho ga.e
bār-e-gunāh lenā paḌā apne sar zarūr
lekin tire karam ke sazā-vār ho ga.e
faiz-e-junun se mahram-e-asrar ho gae
itne fareb khae ki hushyar ho gae
jab aashna-e-lazzat-e-azar ho gae
har gham ke naqd-e-jaan se KHaridar ho gae
kuchh kam na tha surur-e-gham-e-zindagi hamein
kam-zarf the wo log jo mai-KHwar ho gae
kya marke zamin ke sar ho chuke tamam
kyon aasman se barsar-e-paikar ho gae
bar-e-gunah lena paDa apne sar zarur
lekin tere karam ke saza-war ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.