faiz kya aasman se nikla
faiz kyā āsmān se niklā
jo bhī niklā gumān se niklā
chhup ke mujh se utar gayā mujh meñ
phir baḌī ān-bān se niklā
kabhī niklā vo ḳhāna-e-dil se
aur kabhī dāstān se niklā
chup jo TuuTī to is tarah TuuTī
jaise sho.ala zabān se niklā
āsmāñ sar pe aur zamīñ nīche
sab ye apne gumān se niklā
kitnā DhūñDā magar mirā saaya
yaad ke ik makān se niklā
dil thamā thā abhī kī vo chehra
dhund ke darmiyān se niklā
saaya saaya bikhar gayā jab maiñ
tab tire imtihān se niklā
jo dhuñdlakoñ meñ aa rahā hai nazar
kyā kisī ke bayān se niklā
maiñ pukārā kiyā use barsoñ
vo na apne makān se niklā
aah yuuñ niklā us ke kūche se
jaise 'ajmal' jahān se niklā
faiz kya aasman se nikla
jo bhi nikla guman se nikla
chhup ke mujh se utar gaya mujh mein
phir baDi aan-ban se nikla
kabhi nikla wo KHana-e-dil se
aur kabhi dastan se nikla
chup jo TuTi to is tarah TuTi
jaise shoala zaban se nikla
aasman sar pe aur zamin niche
sab ye apne guman se nikla
kitna DhunDa magar mera saya
yaad ke ek makan se nikla
dil thama tha abhi ki wo chehra
dhund ke darmiyan se nikla
saya saya bikhar gaya jab main
tab tere imtihan se nikla
jo dhundlakon mein aa raha hai nazar
kya kisi ke bayan se nikla
main pukara kiya use barson
wo na apne makan se nikla
aah yun nikla us ke kuche se
jaise 'ajmal' jahan se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.