faiz samjhe the jise tha wo ziyan hairat hai
faiz samjhe the jise thā vo ziyāñ hairat hai
ye mohabbat hī mire dil ko garāñ hairat hai
guzre lamhāt kā āñkhoñ meñ pighalnā hairat
uf tirī yaad kī ye tarz bayāñ hairat hai
ek raajā ne utārī thī zamīñ par gañgā
ik nadī dukh meñ hai āñkhoñ se ravāñ hairat hai
ham jise duniyā samajh baiThe the ik muddat se
shaḳhs niklā vo faqat ek gumāñ hairat hai
ek laḌkī jo mere hāfize se ġhā.eb thī
aaj phir siine meñ hai raqs kunāñ hairat hai
faiz samjhe the jise tha wo ziyan hairat hai
ye mohabbat hi mere dil ko garan hairat hai
guzre lamhat ka aankhon mein pighalna hairat
uf teri yaad ki ye tarz bayan hairat hai
ek raja ne utari thi zamin par ganga
ek nadi dukh mein hai aankhon se rawan hairat hai
hum jise duniya samajh baiThe the ek muddat se
shaKHs nikla wo faqat ek guman hairat hai
ek laDki jo mere hafize se ghaeb thi
aaj phir sine mein hai raqs kunan hairat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.