faiz ye uThaya hai be-zaban parindon se
faiz ye uThāyā hai be-zabāñ parindoñ se
ham ne siikh liiñ mīThī boliyāñ parindoñ se
maiñ to uḌ nahīñ saktā phir bhī mutma.in hai dil
āsmāñ kī suntā hai dāstāñ parindoñ se
ai na.e zamāne ke Dākiye tū kyā jaane
ham vasūl karte the chiTThiyāñ parindoñ se
ek raah ik manzil ek hī hadaf un kā
bhiiḌ ham se bantī hai kārvāñ parindoñ se
bhuuk pyaas meñ bhī haiñ jaarī un kī parvāzeñ
azm-o-hausla sīkho nā-tavāñ parindoñ se
mat kaho khañDar is ko ġhaur se zarā dekho
kis qadar hai bā-raunaq ye makāñ parindoñ se
jab zamīn par koī hādsa nahīñ guzrā
chhup gayā hai kyoñ āḳhir āsmāñ parindoñ se
faiz ye uThaya hai be-zaban parindon se
hum ne sikh lin miThi boliyan parindon se
main to uD nahin sakta phir bhi mutmain hai dil
aasman ki sunta hai dastan parindon se
ai nae zamane ke Dakiye tu kya jaane
hum wasul karte the chiTThiyan parindon se
ek rah ek manzil ek hi hadaf un ka
bhiD hum se banti hai karwan parindon se
bhuk pyas mein bhi hain jari un ki parwazen
azm-o-hausla sikho na-tawan parindon se
mat kaho khanDar is ko ghaur se zara dekho
kis qadar hai ba-raunaq ye makan parindon se
jab zamin par koi hadsa nahin guzra
chhup gaya hai kyon aaKHir aasman parindon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.