fajar uTh yar ka didar karnan
fajar uTh yaar kā dīdār karnāñ
shab-e-hijrāñ kā dukh iz.hār karnāñ
agar sābit hai ai dil kufr meñ tuuñ
qayāmat meñ yahī iqrār karnāñ
kahā yuuñ khol kar zulfoñ kuuñ sayyād
kisī vahshī kuuñ apnā yaar karnāñ
tasavvur meñ tire ai maz.har-e-rab
tamāshā-e-dar-o-dīvār karnāñ
tujhe saugand apne chāhte kī
ki apne chāhte par pyaar karnāñ
na kahnāñ ḳhuub hai tujh zulf kī baat
abas har taar kā bistār karnāñ
'sirāj' ab ishq kī parvāngī hai
ki sair-e-kūcha-o-bāzār karnāñ
fajar uTh yar ka didar karnan
shab-e-hijran ka dukh izhaar karnan
agar sabit hai ai dil kufr mein tun
qayamat mein yahi iqrar karnan
kaha yun khol kar zulfon kun sayyaad
kisi wahshi kun apna yar karnan
tasawwur mein tere ai mazhar-e-rab
tamasha-e-dar-o-diwar karnan
tujhe saugand apne chahte ki
ki apne chahte par pyar karnan
na kahnan KHub hai tujh zulf ki baat
abas har tar ka bistar karnan
'siraj' ab ishq ki parwangi hai
ki sair-e-kucha-o-bazar karnan
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 494)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.