faKHr samjha dar-e-dildar pe mar jaane ko
faKHr samjha dar-e-dildar pe mar jaane ko
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
faḳhr samjhā dar-e-dildār pe mar jaane ko
kaise dānā.ī ye sūjhī tire dīvāne ko
nāz-bardāroñ pe sab naaz huā karte haiñ
kaun taklīf diyā karte haiñ begāne ko
kyoñ vasīle kī zarūrat ho tirī chāhat meñ
kyā sikhātā hai mohabbat koī parvāne ko
maiñ to jannat meñ bhī jaane kā kabhī naam na luuñ
jab tak ā.eñgī na hūreñ mire le jaane ko
us ke va.adoñ se ho kyā ḳhaak tasallī 'saifī'
der lagtī hī nahīñ jis ke mukar jaane ko
faKHr samjha dar-e-dildar pe mar jaane ko
kaise danai ye sujhi tere diwane ko
naz-bardaron pe sab naz hua karte hain
kaun taklif diya karte hain begane ko
kyon wasile ki zarurat ho teri chahat mein
kya sikhata hai mohabbat koi parwane ko
main to jannat mein bhi jaane ka kabhi nam na lun
jab tak aaengi na huren mere le jaane ko
us ke wadon se ho kya KHak tasalli 'saifi'
der lagti hi nahin jis ke mukar jaane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.