falak dharti pe sara aa gaya tha
falak dhartī pe saarā aa gayā thā
mire sar pe sitāra aa gayā thā
tū mere paas aadhā bhī nahīñ hai
maiñ tere paas saarā aa gayā thā
abhī thak kar maiñ bistar par girā thā
safar kā phir ishāra aa gayā thā
tū aaya saath tere zindagī meñ
ajab sā ik ḳhasāra aa gayā thā
safar kitnā hai ye dekhā nahīñ thā
bulāvā jab tumhārā aa gayā thā
falak dharti pe sara aa gaya tha
mere sar pe sitara aa gaya tha
tu mere pas aadha bhi nahin hai
main tere pas sara aa gaya tha
abhi thak kar main bistar par gira tha
safar ka phir ishaara aa gaya tha
tu aaya sath tere zindagi mein
ajab sa ek KHasara aa gaya tha
safar kitna hai ye dekha nahin tha
bulawa jab tumhaara aa gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.