falak hai surKH magar aaftab kala hai
falak hai surḳh magar āftāb kaalā hai
añdherā hai ki tire shahr meñ ujālā hai
chaman meñ in dinoñ kirdār do hī milte haiñ
koī hai saañp koī saañp kā nivāla hai
shab-e-safar to isī aas par bitānī hai
ajal ke moḌ ke aage bahut ujālā hai
jahāñ ḳhulūs ne khaa.ī shikast duniyā se
vahīñ junūn ne uTh kar mujhe sambhālā hai
maiñ kho gayā huuñ tire ḳhvāb ke ta.āqub meñ
bas ek jism mirā āḳhirī havāla hai
falak hai surKH magar aaftab kala hai
andhera hai ki tere shahr mein ujala hai
chaman mein in dinon kirdar do hi milte hain
koi hai sanp koi sanp ka niwala hai
shab-e-safar to isi aas par bitani hai
ajal ke moD ke aage bahut ujala hai
jahan KHulus ne khai shikast duniya se
wahin junun ne uTh kar mujhe sambhaala hai
main kho gaya hun tere KHwab ke taaqub mein
bas ek jism mera aaKHiri hawala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.