falak ka bojh zamin ko uThana paDta hai
falak kā bojh zamīñ ko uThānā paḌtā hai
aur ik madār meñ ḳhud ko ghumānā paḌtā hai
ye raat kaTtī hai ummīd-e-sub.h-e-nau meñ mirī
ye din sukūñ kī talab meñ bitānā paḌtā hai
mile na jab koī saanī hamārā duniyā ko
to apne pahlū se ḳhud ko uThānā paḌtā hai
tamām log to chehra-shanās hote nahīñ
isī liye to qabīla batānā paḌtā hai
kabhī kabhār ye vahshat barā.e naam rahe
kabhī kabhār to manzar pe aanā paḌtā hai
tū apne taaq meñ apnā diyā jalā.e rakh
ham ahl-e-dil haiñ hameñ dil jalānā paḌtā hai
unhī se pūchh mohabbat kī sho'lagī hai kyā
ki zaḳhm khā ke jinheñ muskurānā paḌtā hai
phir is ke baa'd kahīñ lauTtī hai bīnā.ī
har ek aañkh se manzar uThānā paḌtā hai
tirī sharāb kī 'izzat bachāne kī ḳhātir
binā piye bhī hameñ laḌkhaḌānā paḌtā hai
vo mujh se pūchh le shāyad kabhī pasand mirī
so har ḳhayāl ko manzar pe laanā paḌtā hai
'alāmatoñ ko samajhtā nahīñ koī 'ārib'
hameñ charāġh kā mā'nī batānā paḌtā hai
falak ka bojh zamin ko uThana paDta hai
aur ek madar mein KHud ko ghumana paDta hai
ye raat kaTti hai ummid-e-subh-e-nau mein meri
ye din sukun ki talab mein bitana paDta hai
mile na jab koi sani hamara duniya ko
to apne pahlu se KHud ko uThana paDta hai
tamam log to chehra-shanas hote nahin
isi liye to qabila batana paDta hai
kabhi kabhaar ye wahshat barae nam rahe
kabhi kabhaar to manzar pe aana paDta hai
tu apne taq mein apna diya jalae rakh
hum ahl-e-dil hain hamein dil jalana paDta hai
unhi se puchh mohabbat ki sho'lagi hai kya
ki zaKHm kha ke jinhen muskurana paDta hai
phir is ke ba'd kahin lauTti hai binai
har ek aankh se manzar uThana paDta hai
teri sharab ki 'izzat bachane ki KHatir
bina piye bhi hamein laDkhaDana paDta hai
wo mujh se puchh le shayad kabhi pasand meri
so har KHayal ko manzar pe lana paDta hai
'alamaton ko samajhta nahin koi 'arib'
hamein charagh ka ma'ni batana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.