falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai
falak kā har sitārā raat kī āñkhoñ kā motī hai
jise shabnam sahar kī shoḳh kirnoñ meñ pirotī hai
vahī mastī mirī dhaḌkan hai mere dil kī jotī hai
jo terī nīlgūñ āñkhoñ meñ gahrī niiñd sotī hai
zamīn-e-dard meñ chāhat vafā ke biij botī hai
to kyā kyā jāvedāñ lamhāt kī taḳhlīq hotī hai
taḌaptī hai mire siine meñ aise aarzū terī
koī jogan ghane jañgal meñ jaise chhup ke rotī hai
ye merī soch har zarre meñ sūraj kī tamannā.ī
ye dil kī raushnī ko lamhe lamhe meñ samotī hai
ga.e vaqtoñ kī pahnā.ī chhalak jaatī hai āñkhoñ se
añdherī raat meñ jab qatra qatra os rotī hai
kahāñ miltī hai vo rāhat na.e yaḳh-basta chehroñ meñ
purāne dostoñ se mil ke jo taskīn hotī hai
falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai
jise shabnam sahar ki shoKH kirnon mein piroti hai
wahi masti meri dhaDkan hai mere dil ki joti hai
jo teri nilgun aankhon mein gahri nind soti hai
zamin-e-dard mein chahat wafa ke bij boti hai
to kya kya jawedan lamhat ki taKHliq hoti hai
taDapti hai mere sine mein aise aarzu teri
koi jogan ghane jangal mein jaise chhup ke roti hai
ye meri soch har zarre mein suraj ki tamannai
ye dil ki raushni ko lamhe lamhe mein samoti hai
gae waqton ki pahnai chhalak jati hai aankhon se
andheri raat mein jab qatra qatra os roti hai
kahan milti hai wo rahat nae yaKH-basta chehron mein
purane doston se mil ke jo taskin hoti hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 231)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.