falak ke par mere aks ka KHazana hai
falak ke paar mire aks kā ḳhazāna hai
fanā ke shahr meñ merā kahāñ Thikāna hai
paroñ ko tol rahā huuñ bulandiyoñ kī taraf
mire vajūd meñ betāb ik divāna hai
ye kā.enāt hai naqshe meñ dā.ere kī tarah
har ek shai ke muqaddar meñ ghuum jaanā hai
jabīñ baqā ke samundar meñ jhuk ga.ī to khulā
mire vajūd ke andar bhī ik zamāna hai
mire ḳhudā tirī rahmat to be-karāñ Thahrī
hamārā shauq to gandum kā ek daana hai
furāt kostā rahtā huuñ tere paanī ko
hamārā dard bhī 'tāriq' baḌā purānā hai
falak ke par mere aks ka KHazana hai
fana ke shahr mein mera kahan Thikana hai
paron ko tol raha hun bulandiyon ki taraf
mere wajud mein betab ek diwana hai
ye kaenat hai naqshe mein daere ki tarah
har ek shai ke muqaddar mein ghum jaana hai
jabin baqa ke samundar mein jhuk gai to khula
mere wajud ke andar bhi ek zamana hai
mere KHuda teri rahmat to be-karan Thahri
hamara shauq to gandum ka ek dana hai
furaat kosta rahta hun tere pani ko
hamara dard bhi 'tariq' baDa purana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.