falak ke par uDanon ki had nahin hoti
falak ke paar uḌānoñ kī had nahīñ hotī
vagarna dūsrī jānib bhī ik zamīñ hotī
agar rivāyatī mafhūm bhuul kar dekheñ
to kyā saver bhī kuchh shaam sī nahīñ hotī
vo is tarah mirī hotī nahīñ agar us kī
saheliyoñ meñ koī aur bhī hasīñ hotī
sadā.eñ toḌ na pātīñ ḳhumār kā aalam
agar vo aañkh mire ḳhvāb kī amiiñ hotī
vo mujh ko dekhne mere qarīb aayā hai
ye dhuñd saare mahīnoñ meñ kyuuñ nahīñ hotī
mujhe zamīn se paanī nahīñ milā 'hāris'
vagarna chhāñv bhī merī yahīñ kahīñ hotī
falak ke par uDanon ki had nahin hoti
wagarna dusri jaanib bhi ek zamin hoti
agar riwayati mafhum bhul kar dekhen
to kya sawer bhi kuchh sham si nahin hoti
wo is tarah meri hoti nahin agar us ki
saheliyon mein koi aur bhi hasin hoti
sadaen toD na patin KHumar ka aalam
agar wo aankh mere KHwab ki amin hoti
wo mujh ko dekhne mere qarib aaya hai
ye dhund sare mahinon mein kyun nahin hoti
mujhe zamin se pani nahin mila 'haaris'
wagarna chhanw bhi meri yahin kahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.