falak ki rahnumai de rahe hain
falak kī rahnumā.ī de rahe haiñ
parinde ko rihā.ī de rahe haiñ
samajh lo paa.ī paa.ī de rahe haiñ
tumheñ ham harf Dhaa.ī de rahe haiñ
na jaane kaun sī ḳhalvat meñ haiñ ham
hamīñ ko ham sunā.ī de rahe haiñ
bujhī hai pyaas to tum chāñd dekho
hameñ bādal dikhā.ī de rahe haiñ
vo ġhalatī jo kabhī kī hī nahīñ hai
ham us kī bhī safā.ī de rahe haiñ
falak ki rahnumai de rahe hain
parinde ko rihai de rahe hain
samajh lo pai pai de rahe hain
tumhein hum harf Dhai de rahe hain
na jaane kaun si KHalwat mein hain hum
hamin ko hum sunai de rahe hain
bujhi hai pyas to tum chand dekho
hamein baadal dikhai de rahe hain
wo ghalati jo kabhi ki hi nahin hai
hum us ki bhi safai de rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.