falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahunche
falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahunche
Zuhoor-ul-Islam Javed
MORE BYZuhoor-ul-Islam Javed
falak ko fikr koī mehr-o-māh tak pahuñche
hameñ ye zo'm ki ham vaah vaah tak pahuñche
unheñ na rakh tū karam kī nigāh se mahrūm
jo luT-luTā ke tirī bārgāh tak pahuñche
huā na ham se mudāvā-e-dard-e-nau-e-bashar
bahut chale to savāb-o-gunāh tak pahuñche
na jaane kab se huuñ sargarm-e-justujū ai dost
na jaane kab ruḳh-e-manzil nigāh tak pahuñche
vufūr-e-shauq meñ ye ehtiyāt ho na sakī
ki aarzū na hamārī nigāh tak pahuñche
hamārī ziist kī rūdād-e-gul ye hai 'jāved'
ki mai-kade se chale ḳhānqāh tak pahuñche
falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahunche
hamein ye zo'm ki hum wah wah tak pahunche
unhen na rakh tu karam ki nigah se mahrum
jo luT-luTa ke teri bargah tak pahunche
hua na hum se mudawa-e-dard-e-nau-e-bashar
bahut chale to sawab-o-gunah tak pahunche
na jaane kab se hun sargarm-e-justuju ai dost
na jaane kab ruKH-e-manzil nigah tak pahunche
wufur-e-shauq mein ye ehtiyat ho na saki
ki aarzu na hamari nigah tak pahunche
hamari zist ki rudad-e-gul ye hai 'jawed'
ki mai-kade se chale KHanqah tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.