Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak-nashin hain kabhi aazma ke dekha jae

Shehzad Anjum Burhani

falak-nashin hain kabhi aazma ke dekha jae

Shehzad Anjum Burhani

MORE BYShehzad Anjum Burhani

    falak-nashīñ haiñ kabhī aazmā ke dekhā jaa.e

    sadā.eñ ham ko vahīñ se lagā ke dekhā jaa.e

    vo sad-hijāb meñ rū-posh bhī nahīñ lekin

    havas hai diid ko parda uThā ke dekhā jaa.e

    har ik suḳhan pe satā.ish 'azāb lagtī hai

    kabhī to ham ko nazar se girā ke dekhā jaa.e

    vo phuul hai to use jaan tak karo mahsūs

    vo chāñd hai to añdherā baḌhā ke dekhā jaa.e

    agar vo 'ishq hai hañs kar pahāḌ uThā loge

    agar hai bojh to sar se girā ke dekhā jaa.e

    latāfat-e-ruḳh-e-zebā pe baar haiñ nazreñ

    so shart ye hai ki palkeñ jhukā ke dekhā jaa.e

    falak-nashin hain kabhi aazma ke dekha jae

    sadaen hum ko wahin se laga ke dekha jae

    wo sad-hijab mein ru-posh bhi nahin lekin

    hawas hai did ko parda uTha ke dekha jae

    har ek suKHan pe sataish 'azab lagti hai

    kabhi to hum ko nazar se gira ke dekha jae

    wo phul hai to use jaan tak karo mahsus

    wo chand hai to andhera baDha ke dekha jae

    agar wo 'ishq hai hans kar pahaD uTha loge

    agar hai bojh to sar se gira ke dekha jae

    latafat-e-ruKH-e-zeba pe bar hain nazren

    so shart ye hai ki palken jhuka ke dekha jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now