falak ne abr mere sine ka buKhaar kiya
falak ne abr mire siine kā buḳhār kiyā
mujhe mujhī pe sitamgar ne ashk-bār kiyā
har ek zarre ne ījād sad-bahār kiyā
ye merī ḳhaak ko kis gul ne rahguzār kiyā
balā hai shauq-e-shahādat na us ne vaar kiyā
jigar ko aap hī baḌh kar sināñ ke paar kiyā
maiñ ḳhush huuñ vāda-e-fardā pe kaun shaḳhs huuñ maiñ
vo shoḳh aur ye umr us pe e.atibār kiyā
kuchh aisī chiiz na the do-jahān kyā hote
dikhā ke aa.ina tum par tumheñ nisār kiyā
zamīñ meñ zalzala hai āsmāñ meñ tahlka hai
kisī ne aaj kisī dil ko be-qarār kiyā
ye aable nahīñ niklī hai aañkh har mū par
tirā to mere sarāpe ne intizār kiyā
mazāq-e-ishq to dekho ki dil hī dil nikle
jo chaak siina mirā sūrat-e-anār kiyā
hanūz sañg meñ ā.īna hai ḳhushā farhād
ki ba.ad-e-marg bhī shīrīñ kā intizār kiyā
tarīq-e-ishq meñ kī be-ḳhudī se tai manzil
ye thī vo rah ki na apnā bhī e.atibār kiyā
ki kyuuñ ho āshiq-o-māshūq kā jahāñ dushman
ki husn-o-ishq ne achchhoñ ko be-qarār kiyā
udhar vo jalva ki muusā ko be-havās rakhā
idhar ye jazba ki yūsuf ko be-dayār kiyā
saroñ pe dāvar-e-mahshar ne farsh kiiñ āñkheñ
tumhāre aane kā kyā kyā na intizār kiyā
'bayāñ' mirā dil-e-ḳhūnīñ vo qatra hai jis ko
muhīt-e-āzam-e-ġham-hā-e-rozgār kiyā
falak ne abr mere sine ka buKHar kiya
mujhe mujhi pe sitamgar ne ashk-bar kiya
har ek zarre ne ijad sad-bahaar kiya
ye meri KHak ko kis gul ne rahguzar kiya
bala hai shauq-e-shahadat na us ne war kiya
jigar ko aap hi baDh kar sinan ke par kiya
main KHush hun wada-e-farda pe kaun shaKHs hun main
wo shoKH aur ye umr us pe eatibar kiya
kuchh aisi chiz na the do-jahan kya hote
dikha ke aaina tum par tumhein nisar kiya
zamin mein zalzala hai aasman mein tahlka hai
kisi ne aaj kisi dil ko be-qarar kiya
ye aable nahin nikli hai aankh har mu par
tera to mere sarape ne intizar kiya
mazaq-e-ishq to dekho ki dil hi dil nikle
jo chaak sina mera surat-e-anar kiya
hanuz sang mein aaina hai KHusha farhad
ki baad-e-marg bhi shirin ka intizar kiya
tariq-e-ishq mein ki be-KHudi se tai manzil
ye thi wo rah ki na apna bhi eatibar kiya
ki kyun ho aashiq-o-mashuq ka jahan dushman
ki husn-o-ishq ne achchhon ko be-qarar kiya
udhar wo jalwa ki musa ko be-hawas rakha
idhar ye jazba ki yusuf ko be-dayar kiya
saron pe dawar-e-mahshar ne farsh kin aankhen
tumhaare aane ka kya kya na intizar kiya
'bayan' mera dil-e-KHunin wo qatra hai jis ko
muhit-e-azam-e-gham-ha-e-rozgar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.