falak ne chand ne taron ne KHud-kushi kar li
falak ne chāñd ne tāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
tumhāre hijr ke māroñ ne ḳhud-kushī kar lī
maiñ apne ḳhvāb sajā kar jahāñ jahāñ pahuñchā
vahāñ vahāñ ke nazāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
ḳhizāñ kā rañg chaḌhā jab merī javānī par
mere chaman kī bahāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
kiyā thā zabt magar toḌ kar bahā dariyā
thake thake se kināroñ ne ḳhud-kushī kar lī
udāsiyoñ se lipaT kar rahī tumhāre baad
mere makāñ kī dīvāroñ ne ḳhud-kushī kar lī
falak ne chand ne taron ne KHud-kushi kar li
tumhaare hijr ke maron ne KHud-kushi kar li
main apne KHwab saja kar jahan jahan pahuncha
wahan wahan ke nazaron ne KHud-kushi kar li
KHizan ka rang chaDha jab meri jawani par
mere chaman ki bahaaron ne KHud-kushi kar li
kiya tha zabt magar toD kar baha dariya
thake thake se kinaron ne KHud-kushi kar li
udasiyon se lipaT kar rahi tumhaare baad
mere makan ki diwaron ne KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.