falak ne sikha hai haalat ko zubun karna
falak ne sīkhā hai hālāt ko zubūñ karnā
har ek ghar ko kisī tarah be-sutūñ karnā
simaT ke aa.e na āshuftagī zamāne kī
dil-o-nigāh meñ ashkoñ se kuchh sukūñ karnā
hinā.ī dast ko lahrā ke ḳhush fazāoñ meñ
ḳhushī se lauT ke aane kā ik shugūñ karnā
vo lauT aa.e to shikve bhī multavī hoñge
hisāb-e-dard ko ab aur kyā fuzūñ karnā
fasīl-e-shahr meñ aaseb bhuul jaane kā
pahan ke yaad kī ta.avīz kyā fusūñ karnā
na hosh aa.e mujhe pattharoñ kī bastī meñ
uThā ke sang mujhe sāhib-e-junūñ karnā
jo dastaras meñ ho taz.īn-e-jism-o-jān agar
kisī kī yaad se hī zīnat-e-darūñ karnā
huā hai ḳhuun bhī 'suġhrā' kā ḳhvāb banñe meñ
ki maslahat hī kī ḳhātir na ḳhvāb ḳhuuñ karnā
falak ne sikha hai haalat ko zubun karna
har ek ghar ko kisi tarah be-sutun karna
simaT ke aae na aashuftagi zamane ki
dil-o-nigah mein ashkon se kuchh sukun karna
hinai dast ko lahra ke KHush fazaon mein
KHushi se lauT ke aane ka ek shugun karna
wo lauT aae to shikwe bhi multawi honge
hisab-e-dard ko ab aur kya fuzun karna
fasil-e-shahr mein aaseb bhul jaane ka
pahan ke yaad ki tawiz kya fusun karna
na hosh aae mujhe pattharon ki basti mein
uTha ke sang mujhe sahib-e-junun karna
jo dastaras mein ho tazin-e-jism-o-jaan agar
kisi ki yaad se hi zinat-e-darun karna
hua hai KHun bhi 'sughra' ka KHwab banne mein
ki maslahat hi ki KHatir na KHwab KHun karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.