falak par chand sa jo ek sitara chal raha hai
falak par chāñd sā jo ik sitārā chal rahā hai
hameñ hī dekh kar us kā guzārā chal rahā hai
ġhanīmat hai ki āvāzoñ ke bhārī-pan se haT kar
zabāñ ḳhāmosh hai lekin ishāra chal rahā hai
mujhe ho kyoñ ġharaz koī kisī bhī āsmāñ se
zamīñ par saath jab mere sitārā chal rahā hai
ijāzat hī nahīñ kuchh aur ham ko dekhne kī
abhī to ḳhvāb āñkhoñ meñ tumhārā chal rahā hai
tumheñ dekhūñ to lagtā hai hamāre saath 'jyotī'
mohabbat kā azal se isti.ārā chal rahā hai
falak par chand sa jo ek sitara chal raha hai
hamein hi dekh kar us ka guzara chal raha hai
ghanimat hai ki aawazon ke bhaari-pan se haT kar
zaban KHamosh hai lekin ishaara chal raha hai
mujhe ho kyon gharaz koi kisi bhi aasman se
zamin par sath jab mere sitara chal raha hai
ijazat hi nahin kuchh aur hum ko dekhne ki
abhi to KHwab aankhon mein tumhaara chal raha hai
tumhein dekhun to lagta hai hamare sath 'jyoti'
mohabbat ka azal se istiara chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.