falak par ek tara rah gaya hai
falak par ek taara rah gayā hai
yahī bas ik sahārā rah gayā hai
adhūrā-pan liye phirte haiñ ab to
kahīñ par kuchh hamārā rah gayā hai
nazar meñ haiñ samandar hī samandar
bahut pīchhe kināra rah gayā hai
kahāñ vo jā sakā tere nagar se
jise tū ne pukārā rah gayā hai
paḌhe 'fārūq' ham ne sab mujalle
magar dil kā shumāra rah gayā hai
falak par ek tara rah gaya hai
yahi bas ek sahaara rah gaya hai
adhura-pan liye phirte hain ab to
kahin par kuchh hamara rah gaya hai
nazar mein hain samandar hi samandar
bahut pichhe kinara rah gaya hai
kahan wo ja saka tere nagar se
jise tu ne pukara rah gaya hai
paDhe 'faruq' hum ne sab mujalle
magar dil ka shumara rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.