Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak par jalta bujhta ek sitara tha wo main tha

Ekhlaq Ahmad Ekhlaq

falak par jalta bujhta ek sitara tha wo main tha

Ekhlaq Ahmad Ekhlaq

MORE BYEkhlaq Ahmad Ekhlaq

    falak par jaltā bujhtā ik sitāra thā vo maiñ thā

    umīd-o-yās jo shaḳhs maarā thā vo maiñ thā

    hamesha jiit kar tum se jo haarā thā vo maiñ thā

    vafā jis ke hisse meñ ḳhasāra thā vo maiñ thā

    anā ke shahr meñ jashn-e-bulandī thā vo tum the

    vahīñ ik samt mātam nazāra thā vo maiñ thā

    mujhe ab yuuñ na dekho maiñ amānat huuñ kisī

    mohabbat ke dinoñ meñ jo tumhārā thā vo maiñ thā

    ḳhushī meñ jo tire hamrāh thā vo thā zamāna

    ġhamoñ ke daur meñ jis sahārā thā vo maiñ thā

    vo koī aur thā tum baḌh rahe the jis jānib

    vo jis ne ro ke pīchhe se pukārā thā vo maiñ thā

    chalā thā jab vo mele meñ pakaḌ kar haath merā

    fazā meñ sab se ūñchā jo ġhubbāra thā vo maiñ thā

    javānī meñ bahāroñ par tirā qabza thā 'aḳhlāq'

    magar dil par tire jis ijāra thā vo maiñ thā

    falak par jalta bujhta ek sitara tha wo main tha

    umid-o-yas ka jo shaKHs mara tha wo main tha

    hamesha jit kar tum se jo haara tha wo main tha

    wafa ka jis ke hisse mein KHasara tha wo main tha

    ana ke shahr mein jashn-e-bulandi tha wo tum the

    wahin ek samt matam ka nazara tha wo main tha

    mujhe ab yun na dekho main amanat hun kisi ki

    mohabbat ke dinon mein jo tumhaara tha wo main tha

    KHushi mein jo tere hamrah tha wo tha zamana

    ghamon ke daur mein jis ka sahaara tha wo main tha

    wo koi aur tha tum baDh rahe the jis ki jaanib

    wo jis ne ro ke pichhe se pukara tha wo main tha

    chala tha jab wo mele mein pakaD kar hath mera

    faza mein sab se uncha jo ghubbara tha wo main tha

    jawani mein bahaaron par tera qabza tha 'aKHlaq'

    magar dil par tere jis ka ijara tha wo main tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now