falak par koi sazish ho rahi hai
falak par koī sāzish ho rahī hai
samundar par hī bārish ho rahī hai
haTā.e jā rahe haiñ kaam ke log
nikammoñ par navāzish ho rahī hai
dabāyā jā rahā hai ḳhūbiyoñ ko
jihālat kī numā.ish ho rahī hai
burā.ī chal rahī hai piiTh pīchhe
magar muñh par satā.ish ho rahī hai
navāzā jā rahā hai dushmanoñ ko
vafādāroñ se pursish ho rahī hai
'atīq' ab chal-chalāv kī ghaḌī hai
duāoñ kī guzārish ho rahī hai
falak par koi sazish ho rahi hai
samundar par hi barish ho rahi hai
haTae ja rahe hain kaam ke log
nikammon par nawazish ho rahi hai
dabaya ja raha hai KHubiyon ko
jihaalat ki numaish ho rahi hai
burai chal rahi hai piTh pichhe
magar munh par sataish ho rahi hai
nawaza ja raha hai dushmanon ko
wafadaron se pursish ho rahi hai
'atiq' ab chal-chalaw ki ghaDi hai
duaon ki guzarish ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.