falak pe chand sitare kuchh aur kahte hain
falak pe chāñd sitāre kuchh aur kahte haiñ
magar zamīñ ke nazāre kuchh aur kahte haiñ
tirī habīb adā.eñ kuchh aur kahtī haiñ
adū ko tere ishāre kuchh aur kahte haiñ
udhar uruuj pe pahuñchī hai garmī-e-bāzār
idhar hamāre ḳhasāre kuchh aur kahte haiñ
jahāñ pe tum ne mohabbat se haath rakkhā thā
vahīñ pe zaḳhm hamāre kuchh aur kahte haiñ
vo kah rahe haiñ ki donoñ taraf hai ḳhush-hālī
nadī ke donoñ kināre kuchh aur kahte haiñ
falak pe chand sitare kuchh aur kahte hain
magar zamin ke nazare kuchh aur kahte hain
teri habib adaen kuchh aur kahti hain
adu ko tere ishaare kuchh aur kahte hain
udhar uruj pe pahunchi hai garmi-e-bazar
idhar hamare KHasare kuchh aur kahte hain
jahan pe tum ne mohabbat se hath rakkha tha
wahin pe zaKHm hamare kuchh aur kahte hain
wo kah rahe hain ki donon taraf hai KHush-haali
nadi ke donon kinare kuchh aur kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.