falak pe hansne lage chand tare sham ke baad
falak pe hañsne lage chāñd taare shaam ke baad
hamīñ udaas haiñ dariyā kināre shaam ke baad
khanaktī chūḌiyāñ ḳhushbueñ pyaar kī bāteñ
tamām vasl ke haiñ isti.āre shaam ke baad
hamāre din pe zamāne kā jo tasarruf ho
hamārī raat hai aur ham tumhāre shaam ke baad
nikaliye ghar se to dāman meñ aa hī jaate haiñ
do ek bhaTke hue māh-pāre shaam ke baad
sunahrī machhliyāñ Dar jaatī haiñ añdheroñ se
so kaun jhiil meñ kashtī utāre shaam ke baad
kahīñ bhī din meñ bhaTaktā rahūñ magar vo galī
udhar hī rāste muḌ jaa.eñ saare shaam ke baad
udaas raat ke āñgan meñ dard kī devī
baḌe hī chaav se zulfeñ sañvāre shaam ke baad
khulā thā sāmne ik roz bāb-e-shahr-e-badan
kise batā.eñ jo dekhe nazāre shaam ke baad
tamām din pe hukūmat rahī hamārī 'fahīm'
ham apne vaqt ke sūraj the haare shaam ke baad
falak pe hansne lage chand tare sham ke baad
hamin udas hain dariya kinare sham ke baad
khanakti chuDiyan KHushbuen pyar ki baaten
tamam wasl ke hain istiare sham ke baad
hamare din pe zamane ka jo tasarruf ho
hamari raat hai aur hum tumhaare sham ke baad
nikaliye ghar se to daman mein aa hi jate hain
do ek bhaTke hue mah-pare sham ke baad
sunahri machhliyan Dar jati hain andheron se
so kaun jhil mein kashti utare sham ke baad
kahin bhi din mein bhaTakta rahun magar wo gali
udhar hi raste muD jaen sare sham ke baad
udas raat ke aangan mein dard ki dewi
baDe hi chaw se zulfen sanware sham ke baad
khula tha samne ek roz bab-e-shahr-e-badan
kise bataen jo dekhe nazare sham ke baad
tamam din pe hukumat rahi hamari 'fahim'
hum apne waqt ke suraj the haare sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.