falak se chandni phir jhankti hai
falak se chāñdnī phir jhāñktī hai
zamīñ par tīrgī jab nāchtī hai
sitārā jab bhī TuuTā āsmāñ se
vahī ḳhvāhish dobārā jāgtī hai
banā letī hai zanjīroñ se paa.el
mohabbat raqs karnā jāntī hai
pata hai ki vahāñ paanī nahīñ hai
magar ummīd sahrā chhāntī hai
qazā puurī ho karnī phir kisī kī
zamīñ mehvar pe aise bhāgtī hai
meñ rāz-e-zindagī kyūñkar batā.ūñ
kahāñ ye nasl kahnā māntī hai
falak se chandni phir jhankti hai
zamin par tirgi jab nachti hai
sitara jab bhi TuTa aasman se
wahi KHwahish dobara jagti hai
bana leti hai zanjiron se pael
mohabbat raqs karna jaanti hai
pata hai ki wahan pani nahin hai
magar ummid sahra chhanti hai
qaza puri ho karni phir kisi ki
zamin mehwar pe aise bhagti hai
mein raaz-e-zindagi kyunkar bataun
kahan ye nasl kahna manti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.