falak se chal ke yahan mahtab aaega
falak se chal ke yahāñ māhtāb aa.egā
hamāre paas koī be-naqāb aa.egā
ḳhudā ke ghar ko miTāyā hai intizār karo
tumhāre sar pe yaqīnan azaab aa.egā
tumhāre zulm-o-sitam kī sazā milegī tumheñ
azaab aa.egā aur be-hisāb aa.egā
hamāre fikr-o-amal par jumūd taarī hai
ba-tarz-e-shor-e-qayāmat shabāb aa.egā
falak se chal ke yahan mahtab aaega
hamare pas koi be-naqab aaega
KHuda ke ghar ko miTaya hai intizar karo
tumhaare sar pe yaqinan azab aaega
tumhaare zulm-o-sitam ki saza milegi tumhein
azab aaega aur be-hisab aaega
hamare fikr-o-amal par jumud tari hai
ba-tarz-e-shor-e-qayamat shabab aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.