falak se dur kahin hai sanam zamin pe nahin
falak se duur kahīñ hai sanam zamīñ pe nahīñ
maiñ us se milte hue kam se kam zamīñ pe nahīñ
zamīñ pe baiTh ke likhtā huuñ arsh kā qissa
qadam zamīñ pe haiñ mere qalam zamīñ pe nahīñ
jo dekhnā hai hameñ to nazar uThā apnī
zamīñ se dekh hamāre qadam zamīñ pe nahīñ
kisī kī chashm-e-karam hai jo thaam rakhtī hai
kisī kī nazr-e-karam hai ki ham zamīñ pe nahīñ
ye jugnū chāñd sitāre haiñ ham-rikāb mire
maiñ kyā karūñ ki koī ham-qadam zamīñ pe nahīñ
kaTe haiñ baazū to thāmā hai apne dāñtoñ se
hazār shukr girā hai alam zamīñ pe nahīñ
maiñ raat ḳhvāb meñ pahuñchā thā un ke qadmoñ meñ
ḳhudā kā shukr ki niklā hai dam zamīñ pe nahīñ
falak se dur kahin hai sanam zamin pe nahin
main us se milte hue kam se kam zamin pe nahin
zamin pe baiTh ke likhta hun arsh ka qissa
qadam zamin pe hain mere qalam zamin pe nahin
jo dekhna hai hamein to nazar uTha apni
zamin se dekh hamare qadam zamin pe nahin
kisi ki chashm-e-karam hai jo tham rakhti hai
kisi ki nazr-e-karam hai ki hum zamin pe nahin
ye jugnu chand sitare hain ham-rikab mere
main kya karun ki koi ham-qadam zamin pe nahin
kaTe hain bazu to thama hai apne danton se
hazar shukr gira hai alam zamin pe nahin
main raat KHwab mein pahuncha tha un ke qadmon mein
KHuda ka shukr ki nikla hai dam zamin pe nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.