falak se gar balaen aa rahi hain
falak se gar balā.eñ aa rahī haiñ
zarā Thahro du'ā.eñ aa rahī haiñ
maiñ samjhā thā ki miT jā.eñgī yādeñ
magar taaza havā.eñ aa rahī haiñ
yahāñ ik baaġh thā bastī se pahle
parindoñ kī sadā.eñ aa rahī haiñ
jo pūchhā qais ne lailā kahāñ hai
kahā tashrīf laa.eñ aa rahī haiñ
falak se gar balaen aa rahi hain
zara Thahro du'aen aa rahi hain
main samjha tha ki miT jaengi yaaden
magar taza hawaen aa rahi hain
yahan ek bagh tha basti se pahle
parindon ki sadaen aa rahi hain
jo puchha qais ne laila kahan hai
kaha tashrif laen aa rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.