falak se hue hain ye paiham ishaare
falak se hue hain ye paiham ishaare
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
falak se hue haiñ ye paiham ishāre
zamīñ se nahīñ duur ye chāñd taare
munavvar huī merī shām-e-ġharībāñ
ki yaad aa rahe haiñ vatan ke nazāre
mirī zindagī hai ki hai ek tūfāñ
ye bechain lahreñ ye betāb dhāre
tabī.at ne merī kabhī bhī na DhūñDe
ye sāhil safīne vo saa.e sahāre
ulajh saktā huuñ ab bhī tūfāñ se sāthī
ye kyoñ merī kashtī lagā dī kināre
ye hamvār-o-yaksāñ sī kyā zindagī hai
na āñdhī na tūfāñ na sho.ale sharāre
kahīñ chhīn le mujh se piirī na aa kar
ye siine kī garmī nazar ke sharāre
hai bachchoñ kā ik khel ye zindagī bhī
hasīñ jo vo jiite hasīñ vo jo haare
kabhī pyaar karke kabhī pyaar pā kar
jiye ham jahāñ meñ usī ke sahāre
ye patte haiñ larzāñ vo gul dam-ba-ḳhud
bas ik ham na samjheñ ḳhizāñ ke ishāre
'habīb' aap duniyāñ ko pahchānte haiñ
vo ye rañg badle ki vo ruup dhāre
falak se hue hain ye paiham ishaare
zamin se nahin dur ye chand tare
munawwar hui meri sham-e-ghariban
ki yaad aa rahe hain watan ke nazare
meri zindagi hai ki hai ek tufan
ye bechain lahren ye betab dhaare
tabiat ne meri kabhi bhi na DhunDe
ye sahil safine wo sae sahaare
ulajh sakta hun ab bhi tufan se sathi
ye kyon meri kashti laga di kinare
ye hamwar-o-yaksan si kya zindagi hai
na aandhi na tufan na shoale sharare
kahin chhin le mujh se piri na aa kar
ye sine ki garmi nazar ke sharare
hai bachchon ka ek khel ye zindagi bhi
hasin jo wo jite hasin wo jo haare
kabhi pyar karke kabhi pyar pa kar
jiye hum jahan mein usi ke sahaare
ye patte hain larzan wo gul dam-ba-KHud
bas ek hum na samjhen KHizan ke ishaare
'habib' aap duniyan ko pahchante hain
wo ye rang badle ki wo rup dhaare
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 31)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.