falak se jo hue dharti ki nazr sada log
falak se jo hue dhartī kī nazr saada log
unhī ke ġham se haiñ vāqif ye be-libāda log
maiñ apne aap ko ab DhūñDh bhī nahīñ saktā
mire janāze meñ haiñ is qadar ziyāda log
unhī meñ maiñ bhī huuñ shāmil so tū nahīñ miltā
banā ke toḌne vaale haiñ jo irāda log
ki chiir Daalā gayā pahle be-gunāh mujhe
mire vajūd kā chunte haiñ ab burāda log
rafīq chhoḌ ke dil meñ jo rakkheñ dushman ko
ki mere jaise kahāñ hoñge dil-kushāda log
jalā rahā huuñ maiñ ḳhud ko kuchh is liye 'tāhir'
kareñge diip kī is lau se istifāda log
falak se jo hue dharti ki nazr sada log
unhi ke gham se hain waqif ye be-libaada log
main apne aap ko ab DhunDh bhi nahin sakta
mere janaze mein hain is qadar ziyaada log
unhi mein main bhi hun shamil so tu nahin milta
bana ke toDne wale hain jo irada log
ki chir Dala gaya pahle be-gunah mujhe
mere wajud ka chunte hain ab burada log
rafiq chhoD ke dil mein jo rakkhen dushman ko
ki mere jaise kahan honge dil-kushada log
jala raha hun main KHud ko kuchh is liye 'tahir'
karenge dip ki is lau se istifada log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.