falak se KHwab ka har ek sitara chhin leti hai
falak se ḳhvāb kā har ik sitārā chhīn letī hai
ki zimmedārī ye bachpan hamārā chhīn letī hai
bhalā har Dūbte kā saath detī hai kahāñ qismat
kabhī tinke talak kā bhī sahārā chhīn letī hai
miyāñ ye qarz kā dariyā bahut hī jān-levā hai
agar jo is meñ utre to kinārā chhīn letī hai
hameñ is zindagī se bandhū itnī sī shikāyat hai
ki kyoñ jab aañkh detī hai nazārā chhīn letī hai
falak se KHwab ka har ek sitara chhin leti hai
ki zimmedari ye bachpan hamara chhin leti hai
bhala har Dubte ka sath deti hai kahan qismat
kabhi tinke talak ka bhi sahaara chhin leti hai
miyan ye qarz ka dariya bahut hi jaan-lewa hai
agar jo is mein utre to kinara chhin leti hai
hamein is zindagi se bandhu itni si shikayat hai
ki kyon jab aankh deti hai nazara chhin leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.