falak se rabta TuTa zamin pe aan paDe
falak se rābta TuuTā zamīñ pe aan paḌe
jahāñ se uḌ ke chale the vahīñ pe aan paḌe
huzūr-e-‘ishq hamārī ḳhirad ke mafrūze
jo hū kā raaz khulā to hamīñ pe aan paḌe
ye jab se ham pe hamārī hī ḳhaak khulne lagī
ye ḳhvāhishāt ke parbat zamīñ pe aan paḌe
vo jin ke lab pe thī haañ haañ ba-sub.h-e-roz-e-alast
fanā kī god meñ baiThe nahīñ pe aan paḌe
mirī talab dar-e-sāqī pe mahv-e-raqs huī
shikan zamāne kī ye kyoñ jabīñ pe aan paḌe
nigāh-e-‘afv ho murshid ki tere 'ḳhāna-ba-dosh'
makāñ ko chhoḌ ke ab to makīñ pe aan paḌe
falak se rabta TuTa zamin pe aan paDe
jahan se uD ke chale the wahin pe aan paDe
huzur-e-‘ishq hamari KHirad ke mafruze
jo hu ka raaz khula to hamin pe aan paDe
ye jab se hum pe hamari hi KHak khulne lagi
ye KHwahishat ke parbat zamin pe aan paDe
wo jin ke lab pe thi han han ba-subh-e-roz-e-alast
fana ki god mein baiThe nahin pe aan paDe
meri talab dar-e-saqi pe mahw-e-raqs hui
shikan zamane ki ye kyon jabin pe aan paDe
nigah-e-‘afw ho murshid ki tere 'KHana-ba-dosh'
makan ko chhoD ke ab to makin pe aan paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.