falak se TuTe sitare ka dukh samajhte ho
falak se TuuTe sitāre kā dukh samajhte ho
ḳhud apnī zaat se haare kā dukh samajhte ho
shajar lagāne pe dariyā ne ek baat kahī
tumhī to ho jo kināre kā dukh samajhte ho
tumheñ hisāb pe hai kitnī dastaras lekin
mohabbatoñ meñ ḳhasāre kā dukh samajhte ho
hamāre hañsne pe tum ro diye to zāhir hai
diloñ ko chīrte aare kā dukh samajhte ho
hamārā us se bichhaḌne kā dukh samajh loge
sahar se Darte sitāre kā dukh samajhte ho
phañsī huī hai traffic kī bhiiḌ meñ vo jahāñ
vahāñ ke surḳh ishāre kā dukh samajhte ho
falak se TuTe sitare ka dukh samajhte ho
KHud apni zat se haare ka dukh samajhte ho
shajar lagane pe dariya ne ek baat kahi
tumhi to ho jo kinare ka dukh samajhte ho
tumhein hisab pe hai kitni dastaras lekin
mohabbaton mein KHasare ka dukh samajhte ho
hamare hansne pe tum ro diye to zahir hai
dilon ko chirte aare ka dukh samajhte ho
hamara us se bichhaDne ka dukh samajh loge
sahar se Darte sitare ka dukh samajhte ho
phansi hui hai traffic ki bhiD mein wo jahan
wahan ke surKH ishaare ka dukh samajhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.