Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak un se jo baDh kar bad-chalan hota to kya hota

Afsar Allahabadi

falak un se jo baDh kar bad-chalan hota to kya hota

Afsar Allahabadi

MORE BYAfsar Allahabadi

    falak un se jo baḌh kar bad-chalan hotā to kyā hotā

    javāñ se pesh-rau pīr-e-kuhan hotā to kyā hotā

    musallam dekh kar yāqūb murde se hue bad-tar

    jo yūsuf darīda pairahan hotā to kyā hotā

    hamārā koh-e-ġham kyā sañg-e-ḳhārā hai jo kaT jaatā

    agar mar mar ke zinda kohkan hotā to kyā hotā

    atā chādar-e-gard us ne apne marne vāloñ ko

    huī ḳhilqat ye sūrat kafan hotā to kyā hotā

    nigah-bāñ jal ga.e chaar āñkheñ hote dekh kar us se

    kalīm aasā kahīñ vo ham-suḳhan hotā to kyā hotā

    baḌā bad-ahd hai is shohrat-e-īfā-e-vāda par

    agar mash.hūr paimāñ-shikan hotā to kyā hotā

    muqaddar meñ to likkhī hai gadā.ī kū-e-jānāñ

    agar 'afsar' shahanshāh-e-zaman hotā to kyā hotā

    falak un se jo baDh kar bad-chalan hota to kya hota

    jawan se pesh-rau pir-e-kuhan hota to kya hota

    musallam dekh kar yaqub murde se hue bad-tar

    jo yusuf ka darida pairahan hota to kya hota

    hamara koh-e-gham kya sang-e-KHara hai jo kaT jata

    agar mar mar ke zinda kohkan hota to kya hota

    ata ki chadar-e-gard us ne apne marne walon ko

    hui KHilqat ki ye surat kafan hota to kya hota

    nigah-ban jal gae chaar aankhen hote dekh kar us se

    kalim aasa kahin wo ham-suKHan hota to kya hota

    baDa bad-ahd hai is shohrat-e-ifa-e-wada par

    agar mashhur tu paiman-shikan hota to kya hota

    muqaddar mein to likkhi hai gadai ku-e-jaanan ki

    agar 'afsar' shahanshah-e-zaman hota to kya hota

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    falak un se jo baDh kar bad-chalan hota to kya hota Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now