falsafe ilm hi mein hote hain
falsafe 'ilm hī meñ hote haiñ
tajrabe zindagī meñ hote haiñ
jo añdhere meñ bhī na hote the
jurm vo raushnī meñ hote haiñ
hosh meñ ham se ho nahīñ sakte
kaam jo be-ḳhudī meñ hote haiñ
valvale har zabāñ pe hote hoñ
hausle kam kisī meñ hote haiñ
ham jalāte nahīñ charāġhoñ ko
ratjage chāñdnī meñ hote haiñ
maut kā ek marhala kyā hai
ġham bahut zindagī meñ hote haiñ
dard ke sho'le ranj-o-ġham ke 'sharar'
āñsuoñ kī nadī meñ hote haiñ
falsafe 'ilm hi mein hote hain
tajrabe zindagi mein hote hain
jo andhere mein bhi na hote the
jurm wo raushni mein hote hain
hosh mein hum se ho nahin sakte
kaam jo be-KHudi mein hote hain
walwale har zaban pe hote hon
hausle kam kisi mein hote hain
hum jalate nahin charaghon ko
ratjage chandni mein hote hain
maut ka ek marhala kya hai
gham bahut zindagi mein hote hain
dard ke sho'le ranj-o-gham ke 'sharar'
aansuon ki nadi mein hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.