fan hai udas aur tamasha maze mein hai
fan hai udaas aur tamāshā maze meñ hai
mausīqī gum hai shor-sharāba maze meñ hai
hai sach kī raah chal ke pareshān koī aur
laffāzī kar ke jhuuT kā putlā maze meñ hai
har fikr sirf jāgne vaale kā hai nasīb
jo so rahā hai bas vahī banda maze meñ hai
lambe safar ke baad bhī pahchān kho ga.ī
sāgar se mil ke kaun sā dariyā maze meñ hai
hai 'ārzū' ki ġham meñ rahūñ yā ḳhushī meñ maiñ
hotā rahe ye logoñ meñ charchā maze meñ hai
fan hai udas aur tamasha maze mein hai
mausiqi gum hai shor-sharaba maze mein hai
hai sach ki rah chal ke pareshan koi aur
laffazi kar ke jhuT ka putla maze mein hai
har fikr sirf jagne wale ka hai nasib
jo so raha hai bas wahi banda maze mein hai
lambe safar ke baad bhi pahchan kho gai
sagar se mil ke kaun sa dariya maze mein hai
hai 'arzu' ki gham mein rahun ya KHushi mein main
hota rahe ye logon mein charcha maze mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.