fana-baqa bhi samajhne lage bahut se log
fanā-baqā bhī samajhne lage bahut se log
ye falsafa bhī samajhne lage bahut se log
jahāñ thī aql ke andhoñ kī ek bhiiḌ vahīñ
burā-bhalā bhī samajhne lage bahut se log
chhupā rahe haiñ charāġhoñ kī lau hathelī se
to kyā havā bhī samajhne lage bahut se log
maiñ nāḳhudā bhī jise kah ke sharmsār huuñ aaj
use ḳhudā bhī samajhne lage bahut se log
ḳhud apne hoñToñ pe jis din se jaḌ diye taale
mirī sadā bhī samajhne lage bahut se log
jo ham samajhte the sach bolnā hai ik in.aam
hai ye sazā bhī samajhne lage bahut se log
hamesha chhoTā banā kar jo ḳhud ko pesh kiyā
mujhe baḌā bhī samajhne lage bahut se log
bas ek faisla aane kī der thī 'shāhid'
muqaddama bhī samajhne lage bahut se log
fana-baqa bhi samajhne lage bahut se log
ye falsafa bhi samajhne lage bahut se log
jahan thi aql ke andhon ki ek bhiD wahin
bura-bhala bhi samajhne lage bahut se log
chhupa rahe hain charaghon ki lau hatheli se
to kya hawa bhi samajhne lage bahut se log
main naKHuda bhi jise kah ke sharmsar hun aaj
use KHuda bhi samajhne lage bahut se log
KHud apne honTon pe jis din se jaD diye tale
meri sada bhi samajhne lage bahut se log
jo hum samajhte the sach bolna hai ek inam
hai ye saza bhi samajhne lage bahut se log
hamesha chhoTa bana kar jo KHud ko pesh kiya
mujhe baDa bhi samajhne lage bahut se log
bas ek faisla aane ki der thi 'shahid'
muqaddama bhi samajhne lage bahut se log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.