fana karun tan-e-KHaki baqa-e-jaan ke liye
fanā karūñ tan-e-ḳhākī baqā-e-jāñ ke liye
ajal naved hai ārām-e-jāvedāñ ke liye
zabāñ kī fikr nahīñ sharh-e-dāstāñ ke liye
nigāh-e-shauq hai betāb ḳhud bayāñ ke liye
idhar farāhamī-e-ḳhas meñ huuñ maiñ sargardāñ
taḌap rahī hai udhar barq āshiyāñ ke liye
hai chashm-e-shauq meñ apnī to āstāñ koī aur
jhuke hazār ye sar sajda-e-butāñ ke liye
baras rahī hai vahāñ āshiyāñ pe vīrānī
phaḌak rahī hai yahāñ ruuh āshiyāñ ke liye
umīd-o-yās ke jhagḌe se dil huā āzād
ḳhudī miTā ke maze aish-e-jāvedāñ ke liye
kahīñ hai barq hai sarsar kahīñ kahīñ sayyād
hazār ḳhatre haiñ kambaḳht ik āshiyāñ ke liye
khuleñge par to do-ālam na hoñge phir kaafī
fazā-e-quds hai darkār murġh-e-jāñ ke liye
bahār ḳhatm huī ab chaman ko kyā dekhūñ
ki aañkh hī nahīñ nazzāra-e-ḳhizāñ ke liye
qafas ke sāmne tinke hī rakh de o sayyād
nigāh-e-shauq tarastī hai āshiyāñ ke liye
chaḌhā diyā mire sayyād ne qafas pe ġhilāf
taḌap ke rah ga.e ham sair-e-bostāñ ke liye
bahā firāq meñ ai dil yahāñ talak aañsū
rahe na buuñd koī chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ke liye
kahāñ ye kunj-e-qafas aur chaman kī sair kahāñ
phaḌak phaḌak ke hai marnā ab āshiyāñ ke liye
biThā diyā mujhe vāmāñdgī ne kāñToñ meñ
zamīñ pe sar ko paTaktā huuñ kārvāñ ke liye
maiñ saumi'a se jo niklā to mai-kade ko chalā
matā.a-e-zohd liye hadiya-e-muġhāñ ke liye
muñh apnā pher ke bulbul pe barq hañstī hai
ġharīb chuntī hai tinke jo āshiyāñ ke liye
misāl-e-qatra fanā bahr-e-ishq meñ ho jā
agar taḌap hai 'valī' umr-e-jāvedāñ ke liye
fana karun tan-e-KHaki baqa-e-jaan ke liye
ajal nawed hai aaram-e-jawedan ke liye
zaban ki fikr nahin sharh-e-dastan ke liye
nigah-e-shauq hai betab KHud bayan ke liye
idhar farahami-e-KHas mein hun main sargardan
taDap rahi hai udhar barq aashiyan ke liye
hai chashm-e-shauq mein apni to aastan koi aur
jhuke hazar ye sar sajda-e-butan ke liye
baras rahi hai wahan aashiyan pe virani
phaDak rahi hai yahan ruh aashiyan ke liye
umid-o-yas ke jhagDe se dil hua aazad
KHudi miTa ke maze aish-e-jawedan ke liye
kahin hai barq hai sarsar kahin kahin sayyaad
hazar KHatre hain kambaKHt ek aashiyan ke liye
khulenge par to do-alam na honge phir kafi
faza-e-quds hai darkar murgh-e-jaan ke liye
bahaar KHatm hui ab chaman ko kya dekhun
ki aankh hi nahin nazzara-e-KHizan ke liye
qafas ke samne tinke hi rakh de o sayyaad
nigah-e-shauq tarasti hai aashiyan ke liye
chaDha diya mere sayyaad ne qafas pe ghilaf
taDap ke rah gae hum sair-e-bostan ke liye
baha firaq mein ai dil yahan talak aansu
rahe na bund koi chashm-e-KHun-fishan ke liye
kahan ye kunj-e-qafas aur chaman ki sair kahan
phaDak phaDak ke hai marna ab aashiyan ke liye
biTha diya mujhe wamandgi ne kanTon mein
zamin pe sar ko paTakta hun karwan ke liye
main saumi'a se jo nikla to mai-kade ko chala
mataa-e-zohd liye hadiya-e-mughan ke liye
munh apna pher ke bulbul pe barq hansti hai
gharib chunti hai tinke jo aashiyan ke liye
misal-e-qatra fana bahr-e-ishq mein ho ja
agar taDap hai 'wali' umr-e-jawedan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.