fana ke raste par gamzan hain hum mere hamdam
fanā ke rāste par gāmzan haiñ ham mire hamdam
sañbhal kar paañv rakkheñ ab hai shām-e-ġham mire hamdam
añdhere meñ nikalnā hai talāsh-e-nūr meñ tujh ko
kabhī lau ho na tere dard kī maddham mere hamdam
guzartī jā rahī hai umr saarī fikr-e-duniyā meñ
kabhī ho fikr-e-fardā meñ nigah pur-nam mire hamdam
riyā kī hukmrānī har taraf hai tū bhī ab dikhlā
yahāñ iḳhlās kī shamshīr kā dam-ḳham mire hamdam
charāġh-e-ilm-o-fan terā agar raushan rahe yūñhī
na hogā jalva-e-fikr-o-nazar bhī kam mire hamdam
havā bātil kī phir ab sansanātī hai zamāne meñ
hirāsāñ kyoñ hai tū rakh kar yaqīñ mohkam mire hamdam
tirī yādoñ kā parcham jab bhī lahrātā hai āñkhoñ meñ
tirī qurbat bhulā detī hai hāl-e-ġham mire hamdam
fana ke raste par gamzan hain hum mere hamdam
sanbhal kar panw rakkhen ab hai sham-e-gham mere hamdam
andhere mein nikalna hai talash-e-nur mein tujh ko
kabhi lau ho na tere dard ki maddham mere hamdam
guzarti ja rahi hai umr sari fikr-e-duniya mein
kabhi ho fikr-e-farda mein nigah pur-nam mere hamdam
riya ki hukmrani har taraf hai tu bhi ab dikhla
yahan iKHlas ki shamshir ka dam-KHam mere hamdam
charagh-e-ilm-o-fan tera agar raushan rahe yunhi
na hoga jalwa-e-fikr-o-nazar bhi kam mere hamdam
hawa baatil ki phir ab sansanati hai zamane mein
hirasan kyon hai tu rakh kar yaqin mohkam mere hamdam
teri yaadon ka parcham jab bhi lahraata hai aankhon mein
teri qurbat bhula deti hai haal-e-gham mere hamdam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.